KHud ko KHud par hi jo ifsha kabhi karna paD jae

khud ko khud par hi jo ifsha kabhi karna pad jae
jaise jine ki bahut chah mein marna pad jae

aisa ek waqt jab aata hai to kya karte ho
dil jo karna nahin chahe wahi karna pad jae

ho to mahtab ke ham-raqs magar aisa na ho
daman-e-chashm sitaron hi se bharna pad jae

jis ko dekha na kabhi jis ki tamanna bhi na ki
panw usi shahr ke raste pe jo dharna pad jae

surat-e-ashk-e-nadamat hi sahi ai 'shahpar'
meri aankhon se kabhi us ko guzarna pad jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close