khud se niklun to alag ek saman hota hai aur gahrai mein utrun to dhuan hota hai itni pechidgi nikli hai yahan hone mein ab koi chiz na hone ka guman hota hai ek tasalsul ki riwayat hai hawa se mansub khak par us ka amin aab-e-rawan hota hai sab sawalon ke jawab ek se ho sakte hain ho to sakte hain magar aisa kahan hota hai sath rah kar bhi ye ek dusre se darte hain ek basti mein alag sab ka makan hota hai kya ajab raaz hai hota hai wo khamosh 'malal' jis pe hone ka koi raaz ayan hota hai