khwab-mahal mein kaun sar-e-sham aa kar patthar marta hai roz ek taza kanch ka bartan hath se gir kar tutta hai makdi ne darwaze pe jale dur talak bun rakkhe hain phir bhi koi guzre dinon ki ot se andar jhankta hai shor sa uthta rahta hai diwaren bolti rahti hain sham abhi tak aa nahin pati koi khilaune todta hai awwal-e-shab ki lori bhi kab kaam kisi ke aati hai dil wo bacha apni sada par kachchi nind se jagta hai andar bahar ki aawazen ek nuqte par simti hain hota hai galiyon mein wawela mera lahu jab bolta hai meri sanson ki larzish manzar ka hissa banti hai dekhta hun main khidki se jab shakh pe patta kanpta hai mere sirhane koi baitha dhaaras deta rahta hai nabz pe hath bhi rakhta hai tute dhage bhi jodta hai baadal uthe ya ki na uthe barish bhi ho ya ki na ho main jab bhigne lagta hun wo sar par chhatri tanta hai waqt guzarne ke ham-rah bahut kuchh sikha 'akhtar' ne nange badan ko kirnon ke pairahan se ab dhanpta hai