khwahishen itni badhin insan aadha rah gaya khwab jo dekha nahin wo bhi adhura rah gaya main to us ke sath hi ghar se nikal kar aa gaya aur pichhe ek dastak ek saya rah gaya us ko to pairahanon se koi dilchaspi na thi dukh to ye hai rafta rafta main bhi nanga rah gaya rang taswiron ka utra to kahin thahra nahin ab ke wo barish hui har naqsh phika rah gaya umr bhar manzar-nigari khun mein utri rahi phir bhi aankhon ke muqabil ek dariya rah gaya raunaqen jitni thin dahlizon se bahar aa gain sham hi se ghar ka darwaza khula kya rah gaya ab ke shahr-e-zindagi mein saneha aisa hua main sada deta use wo mujh ko takta rah gaya titliyon ke par kitabon mein kahin gum ho gae mutthiyon ke aaine mein ek chehra rah gaya rail ki gadi chali to ek musafir ne kaha dekhna wo koi station pe baitha rah gaya main na kahta tha ki ujlat is qadar achchhi nahin ek pat khidki ka aa kar dekh lo wa rah gaya log apni kirchiyan chun chun ke aage badh gae main magar saman ikattha karta tanha rah gaya aaj tak mauj-e-hawa to laut kar aai nahin kya kisi ujde nagar mein dip jalta rah gaya ungliyon ke naqsh gul-danon pe aate hain nazar aao dekhen apne andar aur kya kya rah gaya dhup ki garmi se inten pak gain phal pak gae ek hamara jism tha 'akhtar' jo kachcha rah gaya