KHwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna

khwab mein bhi meri zanjir-e-safar ka jagna
aankh kya lagna ki ek sauda-e-sar ka jagna

agle din kya hone wala tha ki ab tak yaad hai
intizar-e-subh mein wo sare ghar ka jagna

bastiyon se shab-nawardon ka chala jaana magar
raat bhar ab bhi charagh-e-rahguzar ka jagna

aakhiri ummid ka mahtab jal bujhne ke baad
mera so jaana mere diwar-o-dar ka jagna

phir hawaon se kisi imkan ki milna nawed
phir lahu mein aarzu-e-taza-tar ka jagna

ek din us lams ke asrar khulna jism par
ek shab is khak mein barq-o-sharar ka jagna

is ka harf-e-mukhtasar bedariyon ka silsila
lafz mein mani ka, mani mein asar ka jagna

be-nawa patte bhi aayat-e-numu padhte hue
tum ne dekha hai kabhi shakh-e-shajar ka jagna

yak-ba-yak har raushni ka dub jaana aur phir
aasman par ek tilsm-e-sim-o-zar ka jagna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close