kiya tajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche

kiya tajjub ki meri ruh-e-rawan tak pahunche
pahle koi mere naghmon ki zaban tak pahunche

jab har ek shorish-e-gham zabt-e-fughan tak pahunche
phir khuda jaane ye hangama kahan tak pahunche

aankh tak dil se na aae na zaban tak pahunche
baat jis ki hai usi aafat-e-jaan tak pahunche

tu jahan par tha bahut pahle wahin aaj bhi hai
dekh rindan-e-khush-anfas kahan tak pahunche

jo zamane ko bura kahte hain khud hain wo bure
kash ye baat tere gosh-e-giran tak pahunche

badh ke rindon ne qadam hazrat-e-waiz ke liye
girte padte jo dar-e-pir-e-mughan tak pahunche

tu mere haal-e-pareshan pe bahut tanz na kar
apne gesu bhi zara dekh kahan tak pahunche

un ka jo farz hai wo ahl-e-siyasat jaanen
mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche

ishq ki chot dikhane mein kahin aati hai
kuchh ishaare the ki jo lafz-o-bayan tak pahunche

jalwe betab the jo parda-e-fitrat mein 'jigar'
khud tadap kar meri chashm-e-nigaran tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close