kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh nai maujon mein rahta hai purane paniyon ka dukh kahin muddat hui us ko ganwaya tha magar ab tak meri aankhon mein hai un be-sar-o-samaniyon ka dukh to kya tu bhi meri ujdi hui basti se guzra hai to kya tu ne bhi dekha hai meri viraniyon ka dukh shikast-e-gham ke lamhon mein jo gham-alud ho jaen zamin hathon pe le leti hai un peshaniyon ka dukh miyan-e-aks-o-aina abhi kuchh gard baqi hai abhi pahchan mein aaya nahin hairaniyon ka dukh main pahle dhundhta hun ek zara aasaniyan aur phir badi mushkil mein rakhta hai mujhe aasaniyon ka dukh