koi aisi baat hai jis ke Dar se bahar rahte hain

koi aisi baat hai jis ke dar se bahar rahte hain
hum jo itni raat gae tak ghar se bahar rahte hain

patthar jaisi aankhon mein suraj ke khwab lagate hain
aur phir hum is khwab ke har manzar se bahar rahte hain

jab tak rahte hain aangan mein hangame tanhai ke
khamoshi ke sae baam-o-dar se bahar rahte hain

jab se be-chehron ki basti mein chehre taqsim hue
us din se hum aainon ke ghar se bahar rahte hain

jis ki ret pe nam likhe hain 'azhar' dubne walon ke
wo sahil maujon ke shor-o-shar se bahar rahte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close