koi aas-pas nahin raha to khayal teri taraf gaya mujhe apna hath bhi chhu gaya to khayal teri taraf gaya koi aa ke jaise chala gaya koi ja ke jaise gaya nahin mujhe apna ghar kabhi ghar laga to khayal teri taraf gaya meri be-kali thi shaguftagi so bahaar mujh se lipat gai kaha wahm ne ki ye kaun tha to khayal teri taraf gaya mujhe kab kisi ki umang thi meri apne aap se jang thi hua jab shikast ka samna to khayal teri taraf gaya kisi hadse ki khabar hui to faza ki sans ukhad gai koi ittifaq se bach gaya to khayal teri taraf gaya tere hijr mein khur-o-khwab ka kai din se hai yahi silsila koi luqma hath se gir pada to khayal teri taraf gaya mere ikhtiyar ki shiddaten meri dastaras se nikal gain kabhi tu bhi samne aa gaya to khayal teri taraf gaya