koi sachche khwab dikhata hai par jaane kaun dikhata hai mujhe sari raat jagata hai par jaane kaun jagata hai koi dariya hai jis ki lahren mujhe khinch rahi hain aur koi meri jaanib hath badhata hai par jaane kaun badhata hai kabhi ja-e-namaz ki banhon mein kabhi hamd durud ki chhanw mein koi zar-o-zar rulata hai par jaane kaun rulata hai wahi be-khabari wahi jiwan ka be-ant safar aur aise mein koi apni yaad dilata hai par jaane kaun dilata hai kahin is malum si duniya mein koi na-malum si duniya hai koi us ke bhed batata hai par jaane kaun batata hai meri tanhai mein ek nai tanhai hai jis ke rangon mein koi apne rang milata hai par jaane kaun milata hai koi kahta hai ye rasta hai aur tere liye hai ye rasta koi is mein khak udata hai par jaane kaun udata hai koi kahta hai ye duniya hai aur tere liye hai ye duniya koi is se khauf dilata hai par jaane kaun dilata hai koi kahta hai is mitti mein kai khwab hain aur in khwabon se koi baitha naqsh banata hai par jaane kaun banata hai koi har shai ke sine mein kahin maujud hai zahir hone ko koi apna aap chhupata hai par jaane kaun chhupata hai koi dekha an-dekha har pal chup-chap likhe jata hai magar koi mujh mein shor machata hai par jaane kaun machata hai mujhe duniya apni chhab dikhlane roz chali aati hai magar koi donon bich aa jata hai par jaane kaun aa jata hai