yunhi kufr har subh har sham hoga ilahi kabhu yan bhi islam hoga kahin kaam mein wo to khud-kaam hoga yahan kaam aakhir hai wan kaam hoga yahi dil agar hai yahi be-qarari tah-e-khak bhi khak aaram hoga sanam tin panch aap ka chaar din hai sada ek allah ka nam hoga ye mizhgan wo hain jin ki kawish se ek din mushabbak jigar misl-e-baadam hoga buto jab ki aaghaz-e-ulfat hai ye kuchh khuda jaane kya is ka anjam hoga dua ke ewaz galiyan aur to kya inayat yahi mujh ko inam hoga ye do ek bala hain giraftar un ka koi subh hoga koi sham hoga yahi subh aur sham tak gar amal hai amal teri zulfon ka ta-sham hoga main wo na-tawan hun agar zabh kije na ek nala mujh se sar-anjam hoga ju bismil tu karta hai bismillah ai shokh tere kaam mein mera bhi kaam hoga meri lag rahin chhat se aankhen hain dekho musharraf kab is se lab-e-baam hoga kabhu tu bhi hoga musalman ai but sada tera jhuta hi paigham hoga shikar-e-ajal honge ek roz hum sab hamesha na rustam na yan sam hoga kahan hai wo said-afgani gor mein aah khuda jaane kya haal-e-bahram hoga na sun meri 'ehsa۔n' mubarak tujhe ishq mujhe kya tera nam badnam hoga