kuchh hashr se kam garmi-e-bazar nahin hai

kuchh hashr se kam garmi-e-bazar nahin hai
wo jins hun main jis ka kharidar nahin hai

is raat ke gambhir andhere mein hai kya kya
hasil tujhe par dida-e-bedar nahin hai

mumkin ho to sine mein utar kar to mere dekh
wo lash hun main jis ka aza-dar nahin hai

ek tere taghaful ne kamar tod ke rakh di
warna gham-e-duniya to mujhe bar nahin hai

hansta hai mere sina-e-sad-chaak pe kya kya
wo jis ke gareban mein ek tar nahin hai

dil khugar-e-gham kaun sa gham pa ke jiyega
warna tujhe pana mujhe dushwar nahin hai

kis munh se aman chahunga suraj se dobara
sad-shukr ki yan saya-e-diwar nahin hai

chahega kise kis ka wafadar rahega
ye dil jise khud se bhi abhi pyar nahin hai

kya lutf hai rakhta hai sar-e-lutf-o-karam bhi
'shohrat' ki tere gham ka saza-war nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close