kuchh naqsh huwaida hain khayalon ki dagar se shayad kabhi guzra hun main is rah-guzar se galiyan bhi hain sunsan dariche bhi hain khamosh qadmon ki ye aawaz dar aai hai kidhar se taqon mein charaghon ka dhuan jam sa gaya hai ab hum bhi nikalte nahin ujde hue ghar se kyun kaghzi phulon se sajata nahin ghar ko is daur ko shikwa hai mere zauq-e-hunar se sae ki tarah koi taaqub mein rawan hai ab bach ke kahan jaenge ek shoabda-gar se 'akhtar' ye ghane abr bade tang-nazar hain utthe hain jo dariya se to dariya pe hi barse