kise khabar jab main shahr-e-jaan se guzar raha tha zamin thi pahlu mein suraj ek kos par raha tha hawa mein khushbuen meri pahchan ban gai thin main apni mitti se phul ban kar ubhar raha tha ajib sargoshiyon ka aalam tha anjuman mein main sun raha tha zamana tanqid kar raha tha wo kaisi chhat thi jo mujh ko aawaz de rahi thi wo kya nagar tha jahan main chup-chap utar raha tha main dekhta tha ki ungliyon mein diye ki lau hai main jagta tha ki rang khwabon mein bhar raha tha ye baat alag hai ki main ne jhanka nahin gali mein ye sach hai koi sadaen deta guzar raha tha ye chand be-harf-o-saut khake mera asasa main jin ko ghazlon ka nam de kar sanwar raha tha zamana shabnam ke bhes mein aaya aur dua di main zard-rut mein jab apni bahon mein mar raha tha mujhe kisi se naqab-zani ka khatar nahin tha main 'akhtar' apne hi jasad-e-khaki se dar raha tha