kya roke qaza ke war tawiz qila hai na kuchh hisar tawiz choti mein hai mushk-bar tawiz ya fitna-e-rozgar tawiz donon ne na dard-e-dil mitaya gande ka hai rishta-dar tawiz kya nad-e-ali mein bhi asar hai chaaron tukde hain chaar tawiz darta hun na subh ho shab-e-wasl hai mahr wo zar-nigar tawiz hum ko bhi ho kuchh umid-e-taskin khoe jo tap-e-khayar tawiz pattan ko jad hamari pahunchi gada tah-e-pa-e-yar tawiz hajat nahin un ko nau-ratan ki bazu pe hain panch chaar tawiz khatke wo na aae fatihe ko dekha jo sar-e-mazar tawiz pi jaenge ghol kar kise aap hai naqsh na khaksar tawiz ai turk talen balaen sar se ek tegh ka khat-e-hazar tawiz dar hai tumhein kanknon se lazim laya to hai sada-kar tawiz iksir ka nuskha is ko samjhun khoe jo tera ghubar tawiz majma hai 'amir' ki lahad par mele ka hai ishtihaar tawiz