main apne dil ki tarah aaina bana hua hun so hairaton ke liye masala bana hua hun pahunch to sakta tha manzil pe main magar ai dost main dusron ke liye rasta bana hua hun main jab chala tha to apne bhi mujh ko chhod gae aur aaj dekh lo main qafila bana hua hun sitam to ye hai ki hai meri dastan aur main sharik-e-matn nahin hashiya bana hua hun kabhi tha qais kabhi 'mir' aur ab 'fartash' suluk-e-ishq ka ek silsila bana hua hun