main harf dekhun ki raushni ka nisab dekhun magar ye aalam ki tahniyon par gulab dekhun purane khwabon se reza reza badan hua hai ye chahta hun ki ab naya koi khwab dekhun ye raste to meri hatheli ke tarjuman hain main in lakiron mein zindagi ki kitab dekhun murajat ka safar to mumkin nahin raha hai main chalta jaun ki mausamon ka azab dekhun main apni taswir dekh kar mutmain kahan hun wo din bhi aae lahu ko jab kaamyab dekhun