main us ka nam ghule paniyon pe likhta kya wo ek mauj-e-rawan hai kahin pe rukta kya tamam harf mere lab pe aa ke jam se gae na jaane main ne kaha kya aur us ne samjha kya sabhon ko apni gharaz thi sabhon ko apni baqa mere liye mere nazdik koi aata kya ubharta chand mera ham-safar tha dariya mein main dubte hue suraj ko mud ke takta kya parinde ghar ki munderon pe aa ke baith gae main ajnabi tha ishaara koi samajhta kya firaq o wasl to taswiren un ke nam ki hain main in mein rang kisi ke lahu se bharta kya main apne ghar mein nahin tha magar kahin bhi na tha udhar se mujh ko guzarte kisi ne dekha kya tamam shahr rawan hai mere taaqub mein main aap kya mere ghar ki taraf ko rasta kya ye raushni kabhi pahle na thi yahan 'akhtar' sitara raat ki palkon pe koi chamka kya