main hi ek shakhs tha yaran-e-kuhan mein aisa kaun aawara phira kucha-e-fan mein aisa hum bhi jab tak jiye sarsabz hi sarsabz rahe waqt ne zahr utara tha badan mein aisa zindagi khud ko na is rup mein pahchan saki aadmi lipta hai khwabon ke kafan mein aisa har khizan mein jo bahaaron ki gawahi dega hum bhi chhod aae hain ek shola chaman mein aisa log mujh ko mere aahang se pahchan gae kaun badnam raha shahr-e-sukhan mein aisa apne mansuron ko is daur ne puchha bhi nahin pad gaya rakhna saf-e-dar-o-rasan mein aisa hai tazadon bhari duniya bhi ham-ahang bahut fasla to nahin kuchh sang o saman mein aisa waqt ki dhup ko mathe ka pasina samjha main sharabor raha dil ki jalan mein aisa tum bhi dekho mujhe shayad to na pahchan sako ai meri raato mein duba hun gahan mein aisa