manzar hai abhi dur zara hadd-e-nazar se saughat-e-safar aur hai asbab-e-safar se tum mere taaqub ka tasawwur bhi na karna puchho meri manzil mere tute hue par se main shar ki shararat se to hoshyar hun lekin allah bachae to bachun khair ke shar se barish ne meri tuti hui chhat nahin dekhi aangan mein lagi aag to baadal nahin barse patthar na bana de mujhe mausam ki ye sakhti mar jaen mere khwab na tabir ke dar se dhul jata hai sab dard meri ruh ka is mein rahmat jo barasti hai mere dida-e-tar se tanhai-pasandi meri fitrat ka bhi juz tha mausam bhi ye kahta hai nikalna nahin ghar se insan koi ho to main tawiz bana lun duniya meri bad-tar hui bhuton ke khandar se 'pinhan' meri ghazlon ko bahut naz hai us par tasir ki daulat jo mili dast-e-hunar se