mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye

mauj-e-saba rawan hui raqs-e-junun bhi chahiye
khema-e-gul ke pas hi dajla-e-khun bhi chahiye

kashmakash-e-hayat hai sada-dilon ki baat hai
khwahish-e-marg bhi nahin zahr-e-sukun bhi chahiye

zarb-e-khayal se kahan tut sakengi bediyan
fikr-e-chaman ke ham-rikab josh-e-junun bhi chahiye

naghma-e-shauq khub tha ek kami hai mutriba
shola-e-lab ki khair ho soz-e-darun bhi chahiye

itna karam to kijiye bujhta kanwal na dijiye
zakhm-e-jigar ke sath hi dard-e-fuzun bhi chahiye

dekhiye hum ko ghaur se puchhiye ahl-e-jaur se
ruh-e-jamil ke liye haal-e-zabun bhi chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close