mere KHulus ki shiddat se koi Dar bhi gaya

mere khulus ki shiddat se koi dar bhi gaya
wo pas aa to raha tha magar thahar bhi gaya

ye dekhna tha bachane bhi koi aata hai
agar main dub raha tha to khud ubhar bhi gaya

ai raste ke darkhto samet lo saya
tumhaare jal se bach kar koi guzar bhi gaya

kisi tarah se tumhaari jabin chamak to gai
ye aur baat siyahi mein hath bhar bhi gaya

usi pahad ne phunke the kya kai jangal
jo khak ho ke mere hath par bikhar bhi gaya

yahin kahin mere honton ke pas phirta hai
wo ek lafz ki jo zehn se utar bhi gaya

wo shakh jhul gai jis pe panw qaem the
'shakeb' warna mera hath ta-samar bhi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close