raste phaile hue jitne bhi the patthar ke the

raste phaile hue jitne bhi the patthar ke the
rahzan shashdar rahe khud qafile patthar ke the

narm-o-nazuk khwahishen kya ho gain hum kya kahin
aarzuon ki nadi mein bulbule patthar ke the

ashk se mahrum thin aankhen faza-e-shahr ki
jaan-o-dil patthar ke the jo gham mile patthar ke the

har qadam par thokaron mein zindagi batti rahi
aadmi ki rah mein sab marhale patthar ke the

dil dhadak kar chup raha kal maslahat ki rah par
sar-burida saikdon upar tale patthar ke the

regzar-e-zist mein soz-e-safar jata raha
yun hua mahsus jaise aable patthar ke the

lamha lamha sang ban kar ji rahi thi main 'sadaf'
chahaton ke darmiyan jab hausle patthar ke the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close