mujh se be-zaro na yun sang se maro mujh ko is se behtar hai ki patthar hi bana do mujh ko kya wahi hun main abhi jis ki talab thi tum ko mujh ko dhundo mere pahchanne walo mujh ko waqt tezab ki manind jhulas de na kahin apne khakistar-e-mazi mein daba do mujh ko mujh se shamil hain kai khwab-guzin sannate aur nazdik zara aa ke sada do mujh ko fasle kab kisi insan ko ras aae hain tum jo bichhde ho to kis tarah na gham ho mujh ko