na koi mehrban apna na koi raaz-dan apna

na koi mehrban apna na koi raaz-dan apna
jise samjhe the apna dil wo dil bhi ab kahan apna

jo ho chashm-e-karam teri jo ho tu mehrban apna
zamin apni falak apna makin apne makan apna

wo le kar aaina baithe the lene imtihan apna
kiya hathon se apne daman-e-dil dhajjiyan apna

bhatakte phir rahe hain justuju-e-yar mein ab tak
kahin tikne nahin deta hamein wahm-o-guman apna

jawani mein kise neki badi ka hosh hota hai
jawani mein nahin kuchh sujhta sud-o-ziyan apna

zamane ne wo karwat meri duniya badal dali
na ab hai raaz-dan koi na koi mehrban apna

kisi ko yaad hum aate nahin is anjuman mein ab
ba-hamdillah zikr-e-khair rahta tha jahan apna

wo gul hain hum gulistan se ude yun bu-e-gul ban kar
na dhunde se mila gulchin ko phir nam-o-nishan apna

maza ustad ke sheron ka hum ko 'shad' aata hai
wo hai tarz-e-sukhan apni wo hai rang-e-bayan apna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close