na puchho aql ki charbi chaDhi hai uski boTi par

na puchho aql ki charbi chadhi hai us ki boti par
kisi shai ka asar hota nahin kam-bakht moti par

kafan se dusron ke jo silate hain libas apna
wo jazbe hans rahe hain ishq-e-sada ki langoti par

yahi aish ek din ahl-e-hawas ka khun chatega
abhi kuchh din laga rakkhen wo is kutte ko roti par

na jaane kaise nazuk tar ko mizrab ne chheda
ki wajd aakhir unhen bhi aa gaya nocha kasauti par

mohabbat kuchh badi hai umr mein aur hai hawas chhoti
magar dil hai ki hai sau jaan se lahlut chhoti par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close