nahin mumkin lab-e-ashiq se harf-e-muddaa nikle

nahin mumkin lab-e-ashiq se harf-e-muddaa nikle
jise tum ne kiya khamosh us se kya sada nikle

qayamat ek bapa hai sina-e-majruh-e-ulfat mein
na tir-e-dil-nashin nikle na jaan-e-mubtela nikle

tumhaare khugar-e-bedad ko kya lutf ki hajat
wafa aisi na karna tum jo aakhir ko jafa nikle

guman tha kaam-e-dil aghyar tum se pate hain lekin
hamari tarah wo bhi kushta-e-tegh-e-jafa nikle

zabardasti ghazal kahne pe tum aamada ho 'wahshat'
tabiat jab na ho hazir to phir mazmun kya nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close