nalon se agar maine kabhi kaam liya hai

nalon se agar main ne kabhi kaam liya hai
khud hi asar-e-nala se dil tham liya hai

aazadi-e-andoh-faza se hai rihai
ab main ne kuchh aaram tah-e-dam liya hai

uthti thin umangen unhen badhne na diya phir
main ne dil-e-nakaam se ek kaam liya hai

juz mashghala-e-nala o fariyaad na tha kuchh
jo kaam ki dil se sahar o sham liya hai

khud puchh lo tum apni nigahon se wo kya tha
jo tum ne diya main ne wo paigham liya hai

tha tera ishaara ki na tha main ne diya dil
aur apne hi sar jurm ka ilzam liya hai

gham kaise ghalat karte judai mein teri hum
dhunda hai tujhe hath mein jab jam liya hai

aaram ke ab nam se main darne laga hun
taklif uthai hai jab aaram liya hai

malum nahin khub hai jo waqif-e-fan hain
'wahshat' ne mahakat se kya kaam liya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close