nazron ki tarah log nazare ki tarah hum

nazron ki tarah log nazare ki tarah hum
bhigi hui palkon ke kinare ki tarah hum

ye rup to suraj ko bhi hasil nahin hota
kuchh der rahe subh ke tare ki tarah hum

hum ne bhi to ek umr ye gham saint ke rakkhe
ab kya hai jo bhaari hain khasare ki tarah hum

ek qaum hai chandi ki jo mitti pe khinchi hai
sahra mein hain bahte hue dhaare ki tarah hum

is raat mein pal pal kabhi raushan kabhi ru-posh
ek dur ke tare ke ishaare ki tarah hum

yakjai se pal bhar ki khud-arai bhali thi
shoale se nikal aae sharare ki tarah hum

ye fakhr kisi aur se mansub na hoga
har gam hain khud apne sahaare ki tarah hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close