ban ke duniya ka tamasha moatabar ho jaenge

ban ke duniya ka tamasha mo'atabar ho jaenge
sab ko hansta dekh kar hum chashm-e-tar ho jaenge

mujh ko qadron ke badalne se ye hoga faeda
mere jitne aib hain sare hunar ho jaenge

aaj apne jism ko tu jis qadar chahe chhupa
rafta rafta tere kapde mukhtasar ho jaenge

rafta rafta un se ud jaegi yakjai ki bu
aaj jo ghar mein wo sab diwar-o-dar ho jaenge

aate jate rahrawon ko dekhta hun is tarah
rah chalte log jaise ham-safar ho jaenge

aadmi khud apne andar karbala ban jaega
sare jazbe khair ke nezon pe sar ho jaenge

garmi-e-raftar se wo aag hai zer-e-qadam
mere naqsh-e-pa charagh-e-rahguzar ho jaenge

kaise qisse the ki chhid jaen to ud jati thi nind
kya khabar thi wo bhi harf-e-mukhtasar ho jaenge

kya kahen aise taqaze hain mohabbat ke to hum
apni betabi se hum raqs-e-sharar ho jaenge

ek saat aisi aaegi ki ye wasl o firaq
mere rang-e-be-dili se yak-digar ho jaenge

kakh-o-ku-e-ahl-e-daulat ki bina hai ret par
ek dhamake se ye sab zer-o-zabar ho jaenge

ye ajab shab hai unhen sone na do warna 'salim'
khwab bachchon ke liye wahshat-asar ho jaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close