paya-e-KHisht-o-KHazaf aur guhar se uncha

paya-e-khisht-o-khazaf aur guhar se uncha
qad yahan be-hunari ka hai hunar se uncha

ek din gharq na kar de tujhe ye sail-e-wajud
dekh ho jae na pani kahin sar se uncha

mangta kis se mujhe sang-e-sar-afraazi de
koi darwaza to hota tere dar se uncha

ham-qadam hai tapish-e-jaan to pahunch jaunga
ek do jast mein diwar-e-shajar se uncha

ek bigdi hui tamsil hain sare chehre
koi manzar nahin meyar-e-nazar se uncha

dhup utri to simatna pada khud mein us ko
ek saya ki jo tha apne shajar se uncha

bulbula uthne ko uttha to magar bechaara
rakh saka khud ko na dariya ke bhanwar se uncha

kaisi pasti mein ye duniya ne basaya hai mujhe
nazar aata hai har ek ghar mere ghar se uncha

wo kahan se ye takhayyul ke ufuq laega
aasman ab bhi nahin hai mere sar se uncha

khak-e-'shibli' se khamir apna bhi uttha hai 'faza'
nam urdu ka hua hai isi ghar se uncha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close