phaile hue ghubar ka phir moajiza bhi dekh

phaile hue ghubar ka phir moajiza bhi dekh
raste se jo bhatak gaya wo qafila bhi dekh

main ne to aasman ko thokar pe rakh liya
zarre mein kaenat ka ye zawiya bhi dekh

kab tak tu sare shahr ko bauna bataega
khud par bhi kar nigah kabhi aaina bhi dekh

mere labon pe dekh na tu khamushi ki mohr
tu apni harkaton ka zara silsila bhi dekh

shahr-e-ana mein aaine ke ru-ba-ru hun main
ehsas ki nazar se mera hausla bhi dekh

'alam' nae jahan ki satwat bayan kar
sadiyon se jis pe nur hai wo rasta bhi dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close