puchha hi nahin us ne kabhi haal hamara bas yun hi guzar jata hai har sal hamara rahti hai khabar sare zamane ki hamein bhi phaila hai bahut dur talak jal hamara mushkil hai kisi kaam ka hona bhi yahan par ho jata hai har kaam ba-har-haal hamara hum ne to numaish bhi lagai nahin phir bhi bazar mein chal jata hai har mal hamara pahchan zamane se alag hi hai hamari milta nahin har ek se sur-tal hamara mumkin hai ki ban jaen shahanshah-e-ghazal hum waise to irada nahin filhaal hamara