sahil-e-intizar mein tanha

sahil-e-intizar mein tanha
yaad wo lahar lahar aae mujhe

dasht-e-diwangi ke tilon par
raqs karti hawa bulae mujhe

ajnabi mujh se aa gale mil le
aaj ek dost yaad aae mujhe

bhul baitha hun main zamane ko
ab zamana bhi bhul jae mujhe

ek gharaunda hun ret ka paiham
koi dhae mujhe banae mujhe

ek harf-e-ghalat hun hasti ka
nesti kyun na phir mitae mujhe

dafatan mere ru-ba-ru aa kar
aaine mein koi darae mujhe

aandhiyan kyun meri talash mein hon
ek jhonka hi jab bujhae mujhe

jaise ek naqsh-e-na-durust ko tifl
koi andar se yun mitae mujhe

rakh apni umang ki hun 'raza'
aa ke jhonka koi udae mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close