sans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jati hai

sans un ke mariz-e-hasrat ki ruk ruk ke chalti jati hai
mayus nazar hai dar ki taraf aur jaan nikalti jati hai

chehre se sarakti jati hai zulf un ki khwab ke aalam mein
wo hain ki abhi tak hosh nahin aur shab hai ki dhalti jati hai

allah khabar bijli ko na ho gulchin ki nigah-e-bad na pade
jis shakh pe tinke rakkhe hain wo phulti-phalti jati hai

aariz pe numayan khal hue phir sabza-e-khat aaghaz hua
quran to haqiqat mein hai wahi tafsir badalti jati hai

tauhin-e-mohabbat bhi na rahi wo jaur-o-sitam bhi chhut gae
pahle ki ba-nisbat husn ki ab har baat badalti jati hai

laj apni masiha ne rakh li marne na diya bimaron ko
jo maut na talne wali thi wo maut bhi talti jati hai

hai bazm-e-jahan mein na-mumkin be-ishq salamat husn rahe
parwane to jal kar khak hue ab shama bhi jalti jati hai

shikwa bhi agar main karta hun to jaur-e-falak ka karta hun
be-wajh 'qamar' taron ki nazar kyun mujh se badalti jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close