shab-e-wasl dekhi jo khwab mein to sahar ko sina figar tha yahi bas khayal tha dam-ba-dam ki abhi to pas wo yar tha jo na tha wo ghairat-e-gulsitan to karun ab us ka main kya bayan ki alam judai ka har zaman mere ek dil pe hazar tha shab-e-hijr ke kahen kya alam nazar aae subh ko bahte yam ki ba-josh-e-barish-e-abr-e-gham pe bandha sarishk ka tar tha tap-e-gham se tha jo jala-bala mere sine mein dil-e-mubtala so dhuan ho yun wo hawa hua ki na shoala tha na sharar tha kabhi dast-e-zulf se the baham kabhi rukh ke lete the bose hum shab-o-roz ab to hai dard-o-gham kabhi wun bhi lail-o-nahaar tha jise yaad apni lagaiye use saf dil se bhulaiye tuk idhar to aankh milaiye yahi hum se qaul-o-qarar tha shab-e-hijr ab ye satae hai ki khizan-e-marg dikhae hai wo rukh ab kahan nazar aae hai ki jo rashk-e-subh-e-bahaar tha mujhe shab jo nashsha-e-gham chadha to phira kiya main khada khada raha ghash mein subh ko jo pada usi kaif ka ye utar tha hui hairat ab jo do-chand yan karun aur wajh main kya bayan rukh-e-yar subh ko mahr-san magar aaine se do-chaar tha mujhe ek aashiq-e-khasta ki kahin kal jo qabr nazar padi na kisi se koi lagae ji ye khuda ba-lauh-e-mazar tha dam-e-qatl koi jo bol utha to khajil ho kya wo khafa hua use tum ne zabh abas kiya ye tumhaara shukr-guzar tha koi naw bahr mein thi rawan kai us mein baithe the mah-wishan kahin us giroh ke darmiyan dur-e-naz bhi wo sawar tha tu ba-mauj-e-partaw-e-mah sa kaho iztirab mein dil ka kya kabhi par tha kabhi war tha kabhi war tha kabhi par tha ghazal aur qafiye ko badal main sunaun yaron ko bar-mahal hua mukhtasar na ba-yak ghazal ki bada fasana-e-yar tha