suno baat us ki ulfat ka badhana is ko kahte hain kaha shab khwab mein aa kar ki aana is ko kahte hain qadam wadi-e-wahshat-nak-e-ulfat mein rakha hum ne hazar aafat ka sar par uthana is ko kahte hain hamari baat kati ghair ki taid ki us ne ghatana is ko kahte hain badhana is ko kahte hain jo ruthe hum to bole be-dili se tum ki aa mil ja idhar ko dekhiyo kyun ji manana is ko kahte hain dil-e-muztar ke bais roz-o-shab rahte hain bas larzan dar-o-diwar-e-khana tilmilana is ko kahte hain wo dushman apna samjhe hai ba-dil main dost hun jis ka kahun kya aur par ulta zamana is ko kahte hain ye bole dekh sab taswir us ki aur meri yakja pari-ru is ko kahte hain diwana is ko kahte hain kiya hai shefta aalam ko apna us pari-ru ne diwana ek jahan ko kar dikhana is ko kahte hain ye chashm-e-gauhar-afshan hazrat-e-dil jalwa-farma hain nikal ghar se dar-e-daulat pe aana is ko kahte hain jo gulshan mein kisi ne dekh khilna ghuncha-e-gul ka kaha bas aa ke yan lazzat uthana is ko kahte hain tabassum kar ke yun mujh se kaha us shokh ne o-be idhar ko dekh ada se muskurana is ko kahte hain ghazal aur is zamin mein padhiye wo 'jurat' ki sun jis ko kahen aashiq kalam-e-ashiqana is ko kahte hain