shahid-e-ishq hue qais namwar ki tarah jahan mein aib bhi hum ne kiye hunar ki tarah kuchh aaj sham se chehra hai faq sahar ki tarah dhala hi jata hun furqat mein dopahar ki tarah siyah-bakhton ko yun bagh se nikal ai charkh ki chaar phul to daman mein hon sipar ki tarah tamam khalq hai khwahan-e-abru ai rab chhupa mujhe sadaf-e-qabr mein guhar ki tarah tujhi ko dekhunga jab tak hain barqarar aankhen meri nazar na phiregi teri nazar ki tarah hamari qabr pe kya ehtiyaj-e-ambar-o-ud sulag raha hai har ek ustukhwan agar ki tarah nahif-o-zar hain kya zor baghban se chale jahan bitha diya bas rah gae shajar ki tarah tumhaare halqa-ba-goshon mein ek hum bhi hain pada rahe ye sukhan kan mein guhar ki tarah 'anis' yun hua haal-e-jawani-o-piri badhe the nakhl ki surat gire samar ki tarah