shayan-e-zindagi na the hum mo'atabar na the han kam-nazar the itne magar kam-nazar na the ab ke baras jo phul khila kaghzi hi tha ab ke to dur dur kahin barg-e-tar na the har phul ek zakhm tha har shakh ek lash goya ki rah mein thin saliben shajar na the baadal uthe to ret ke zarre baras pade hum ko bhigo gae hain wo daman jo tar na the kahte the ek ju-e-rawan hai chaman chaman dekha to bastiyon ke kinare bhi tar na the takra ke sar ko apna lahu aap chatte achchha hua ki dasht mein diwar-o-dar na the dariya ka sina chir ke ubhre jo sath par daman mein sang-reze the 'akhtar' guhar na the