shikari raat bhar baithe rahe unchi machanon par musafir phir bhi laut aane ko ja pahunche thikanon par kisi ne jhank kar dekha na bahar hi koi aaya hawa ne umr bhar kya kya na dastak di makanon par khud apna aks-e-rukh hai jo kisi ko rok le badh kar wagarna aadmi kab mustaqil thahra chatanon par uthae aasman ke dukh bhi kis mein itni himmat hai zamin hi ek bhaari hai hamein to apni jaanon par darichon ne ye manzar aaj pahli bar dekha hai ki tum jaane kahan the aur suraj tha makanon par gharon se jab nikal aae to sab ne rah li apni magar duniya ki nazren hain parindon ki udanon par hawa yun hi to hum ko le ke pedon tak nahin aai hamara nam tha likkha hua gandum ke danon par ye mana aandhiyon ka haq hai sab par yurishen karna magar ye main ki meri aankh hai khasta makanon par kuchh itne ho gae manus sannaton se hum 'akhtar' guzarti hai giran apni sada bhi ab to kanon par