sidha sachcha tumhein ai jaan-e-jahan jaane kaun dil ko lagti na ho jo baat use mane kaun tha abhi to dil-e-betab mere pahlu mein le gaya aankhon hi aankhon mein khuda jaane kaun phad dalin hain gulon ne jo qabaen apni bagh mein aaj gaya tha ye hawa khane kaun tum na the mahfil-e-aghyar mein sharminda na ho munh chhupae hue baitha tha khuda jaane kaun kucha-e-yar kabhi tujh se na chhutega 'nasim' go ye qasmen teri sachchi hon magar mane kaun