ruKH-e-raushan ka raushan ek pahlu bhi nahin nikla

rukh-e-raushan ka raushan ek pahlu bhi nahin nikla
jise main chand samjha tha wo jugnu bhi nahin nikla

wo tera dost jo phulon ko pathrane ka aadi tha
kuchh us se shoabda-bazi mein kam tu bhi nahin nikla

abhi kis munh se main dawa karun shadab hone ka
abhi tarshe hue shane pe bazu bhi nahin nikla

gharon se kis liye ye bhid sadkon par nikal aai
abhi to bantne wo shakhs khushbu bhi nahin nikla

shikari aae the dil mein shikar-e-arzu karne
magar is dasht mein to ek aahu bhi nahin nikla

teri bhi husn-kari ke hazaron log hain qail
gali-kuchon se lekin us ka jadu bhi nahin nikla

bata is daur mein iqbaal-'sajid' kaun niklega
sadaqat ka alam le kar agar tu bhi nahin nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close