zindagi bhar jinhon ne dekhe KHwab

zindagi bhar jinhon ne dekhe khwab
un ko bakhshe gae hain phir se khwab

din andhera dikhai deta hai
raat dekhe the jagmagate khwab

us ne aise bhula diya hai mujhe
yaad rahte nahin hain jaise khwab

raat ki bakhshishen to thin mujh par
roz-e-raushan ne bhi dikhae khwab

jin ki tabir hi nahin koi
main ne dekhe hain akasr aise khwab

dil ka har zakhm ho gaya taza
aa gae yaad bhule-bisre khwab

ishq ki ye alamaten to nahin
dil hai bechain aankh hai be-khwab

mashghala hai mera ye ai 'abid'
dekhna nit-nae sunahre khwab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close