takmil-e-shabab chahta hun ho jaun kharab chahta hun sar marka-e-alam hai karna thodi si sharab chahta hun apni hi latafat-e-nazar ki us rukh pe naqab chahta hun ho khair mohabbaton ki yarab zalim se jawab chahta hun han ai gham-e-ishrat-e-guzishta ek fursat-e-khwab chahta hun is chhed pe zindagi tasadduq be-wajh itab chahta hun wo mujh se sawal kar rahe hain main un se jawab chahta hun kuchh aisi haqiqaten hain jin ko paband-e-hijab chahta hun