zihanaton ko kahan karb se farar mila jise nigah mili us ko intizar mila wo koi rah ka patthar ho ya hasin manzar jahan bhi rasta thahra wahin mazar mila koi pukar raha tha khuli fazaon se nazar uthai to chaaron taraf hisar mila har ek sans na jaane thi justuju kis ki har ek dayar musafir ko be-dayar mila ye shahr hai ki numaish lagi hui hai koi jo aadmi bhi mila ban ke ishtihaar mila