tanhai ke aab-e-rawan ke sahil par baiTha hun main

tanhai ke aab-e-rawan ke sahil par baitha hun main
lahren aati jati rahti hain dekha karta hun main

kaun sa lafz ada hone ka pas-manzar hai mera wajud
kis ka haul hai mere dil mein kaisa sannata hun main

hijr o visal charagh hain donon tanhai ke taqon mein
akasr donon gul rahte hain aur jala karta hun main

khali dar-o-diwar ki khushbu pagal rakhti hai mujh ko
jaane kahan wo phul khila hai jis ka man-jaya hun main

sab ye sochte hain 'farhat-ehsas' tamasha hai koi
main ye sochta rahta hun kis mitti ka putla hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close