tar-e-shabnam ki tarah surat-e-khas tutti hai aas bandhne nahin pati hai ki bas tutti hai aarzuon ka hujum aur ye dhalti hui umr sans ukhadti hai na zanjir-e-hawas tutti hai gard itni ki sujhai nahin deta kuchh bhi shor itna hai ki aawaz-e-jaras tutti hai munhadim hota chala jata hai dil sal-ba-sal aisa lagta hai girah ab ke baras tutti hai bu-e-gul aae na aae magar ushshaq ke bich itni wahshat hai ki diwar-e-qafas tutti hai zikr asma-e-ilahi ka hai faizan ki ab dam ulajhta hai na tasbih-e-nafas tutti hai