teri nazar se zamane badalte rahte hain ye log tere bahane badalte rahte hain faza-e-kunj-e-chaman mein hamein talash na kar musafiron ke thikane badalte rahte hain nafas nafas mutaghayyar hai dastan-e-hayat qadam qadam pe fasane badalte rahte hain kabhi jigar pe kabhi dil pe chot padti hai teri nazar ke nishane badalte rahte hain lagi hai 'saif' nazar inqilab-e-dauran par suna to hai ki zamane badalte rahte hain