tha bahut be-dard lekin hausla deta raha

tha bahut be-dard lekin hausla deta raha
wo mujhe har shab nae ghar ka pata deta raha

main use dhunda kiya jismon ki jannat mein magar
wo mujhe khwabon mein milne ki saza deta raha

kab use rukne ki fursat thi ghurur-e-husn mein
main taaqub mein rawan tha main sada deta raha

jal raha tha khud hi be-maegi ki aag mein
main isi daman se shoalon ko hawa deta raha

garche mohlik tha magar insaf ki ummid par
muddaton ek zakhm qatil ko sada deta raha

main to is ki justuju mein tha guzar aaya magar
dasht-e-mazi der tak bu-e-wafa deta raha

sab se pichhe rah gaya hun 'arsh' yun is dasht mein
main safar mein har kisi ko rasta deta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close