uTha jo dast-e-sitam qatl-e-be-nawa ke liye

utha jo dast-e-sitam qatl-e-be-nawa ke liye
nigah-e-shauq ne bose har ek ada ke liye

mahak hai tere shabistan ki bu-e-zulf-e-saba
chali hai baad-e-saba ek shikasta-pa ke liye

suno ki dil ko mere eatibar-e-zist nahin
ruka hun ek nafas arz-e-muddaa ke liye

mere khayal ne pahna libas-e-harf-o-nida
sarir-e-khama hai raqsan meri nawa ke liye

dayar-e-dil to hua waqf-e-ahuwan-e-jawan
ab aur koi banaenge ghar khuda ke liye

mere khayal ko qaid-e-makan qubul nahin
hudud-e-bahr-o-bayaban nahin hawa ke liye

rahi nazar mein hamare urus-e-shauq-e-mudam
fana-e-zist rahe zist ki baqa ke liye

kise bataen ki hum ne pila ke khun-e-jigar
chaman mein phul khilae teri qaba ke liye

khayal-o-rang-o-nuqush-o-huruf-o-lauh-o-qalam
bichhe hain dam jamal-e-gurez-pa ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close